KHanjar se karo baat na talwar se puchho
ḳhanjar se karo baat na talvār se pūchho
maiñ qatl huā kaise mire yaar se pūchho
farz apnā masīhā ne adā kar diyā lekin
kis tarah kaTī raat ye bīmār se pūchho
kuchh bhuul huī hai to sazā bhī koī hogī
sab kuchh maiñ batā dūñgā zarā pyaar se pūchho
āñkhoñ ne to chup rah ke bhī rūdād sunā dī
kyuuñ khul na sake ye lab-e-iz.hār se pūchho
raunaq hai mire ghar meñ tasavvur hī se jis ke
vo kaun thā 'rāhī' dar-o-dīvār se pūchho
KHanjar se karo baat na talwar se puchho
main qatl hua kaise mere yar se puchho
farz apna masiha ne ada kar diya lekin
kis tarah kaTi raat ye bimar se puchho
kuchh bhul hui hai to saza bhi koi hogi
sab kuchh main bata dunga zara pyar se puchho
aankhon ne to chup rah ke bhi rudad suna di
kyun khul na sake ye lab-e-izhaar se puchho
raunaq hai mere ghar mein tasawwur hi se jis ke
wo kaun tha 'rahi' dar-o-diwar se puchho
- Book : Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 12)
- Author : Anoop Jalota
- Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.