KHarab-e-shauq hua jab se is nigah ka dil
ḳharāb-e-shauq huā jab se is nigāh kā dil
charāġh-e-mai-kada hai gaah ḳhānqāh kā dil
na-jāne ḳhāk-nashīñ kis ke intizār meñ haiñ
kanār-e-rāh dhaḌaktā hai kab se raah kā dil
navāzish-e-ġham-e-daurāñ sabhī pe yaksāñ hai
gunāhgār kā dil ho ki be-gunāh kā dil
bahār se bhī numāyāñ hai ishq kā kirdār
ye lahlahātā chaman hai ki be-gunāh kā dil
falāh-e-ḳhalq meñ uThte haiñ nā-gahāñ tūfāñ
dhaḌak rahā hai havāoñ meñ sham-e-rāh kā dil
duā.eñ karte chalo tā-ba-manzil-e-maqsūd
ki rahzanoñ se na mil jaa.e ḳhizr-e-rāh kā dil
tumhārī raah meñ āsār-e-zindagī to mile
hai zarra zarra kisī āshiq-e-tabāh kā dil
sunā hai shā.ir-e-ḳhush-fikr ho gayā 'mānī'
niyāz-mand hai ik husn-e-ḳhush-nigāh kā dil
KHarab-e-shauq hua jab se is nigah ka dil
charagh-e-mai-kada hai gah KHanqah ka dil
na-jaane KHak-nashin kis ke intizar mein hain
kanar-e-rah dhaDakta hai kab se rah ka dil
nawazish-e-gham-e-dauran sabhi pe yaksan hai
gunahgar ka dil ho ki be-gunah ka dil
bahaar se bhi numayan hai ishq ka kirdar
ye lahlahata chaman hai ki be-gunah ka dil
falah-e-KHalq mein uThte hain na-gahan tufan
dhaDak raha hai hawaon mein sham-e-rah ka dil
duaen karte chalo ta-ba-manzil-e-maqsud
ki rahzanon se na mil jae KHizr-e-rah ka dil
tumhaari rah mein aasar-e-zindagi to mile
hai zarra zarra kisi aashiq-e-tabah ka dil
suna hai shair-e-KHush-fikr ho gaya 'mani'
niyaz-mand hai ek husn-e-KHush-nigah ka dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.