KHarab hote hi heater makan mein barf gali
ḳharāb hote hī heater makāñ meñ barf galī
kamī purāl ke bistar kī saarī raat khalī
tire bune hue sweater kī dhuup yaad aa.ī
to aur bād-e-zamistāñ akaḌ akaḌ ke chalī
kahāñ ho aao ki hai sard shab kā pahlā pahar
ḳharīd lete haiñ mil kar karārī mūñgphalī
kaḌā rahā hai kañdoī baḌe kaḌhāv meñ duudh
malā.ī jam ke chhohāroñ pe lag rahī hai bhalī
lihāf bāñTne vālo, haiñ sardiyāñ sab kī
murārī-la.al ho jauzaf ho yā ġhulām-alī
KHarab hote hi heater makan mein barf gali
kami pural ke bistar ki sari raat khali
tere bune hue sweater ki dhup yaad aai
to aur baad-e-zamistan akaD akaD ke chali
kahan ho aao ki hai sard shab ka pahla pahar
KHarid lete hain mil kar karari mungphali
kaDa raha hai kandoi baDe kaDhaw mein dudh
malai jam ke chhohaaron pe lag rahi hai bhali
lihaf banTne walo, hain sardiyan sab ki
murari-lal ho jauzaf ho ya ghulam-ali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.