KHaridna ho agar iKHtiyar bikta hai
ḳharīdnā ho agar iḳhtiyār biktā hai
lagāo daam yahāñ e'tibār biktā hai
jahāñ pe lamha-ba-lamha vafā badaltī hai
vahāñ pe kizb-o-riyā baar baar biktā hai
vahāñ pe ahl-e-hunar ḳhaak chhānte hoñge
galī galī meñ jahāñ rozgār biktā hai
vafā ke shahr meñ tum soch kar qadam rakhnā
vahāñ to dard-e-jigar be-shumār biktā hai
batāo 'kaif' ye kaise marīz achchhā ho
jahāñ davā kī bajā.e buḳhār biktā hai
KHaridna ho agar iKHtiyar bikta hai
lagao dam yahan e'tibar bikta hai
jahan pe lamha-ba-lamha wafa badalti hai
wahan pe kizb-o-riya bar bar bikta hai
wahan pe ahl-e-hunar KHak chhante honge
gali gali mein jahan rozgar bikta hai
wafa ke shahr mein tum soch kar qadam rakhna
wahan to dard-e-jigar be-shumar bikta hai
batao 'kaif' ye kaise mariz achchha ho
jahan dawa ki bajae buKHar bikta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.