KHas-e-badan mein ba-rang-e-sharar aae koi
ḳhas-e-badan meñ ba-rañg-e-sharār aa.e koī
chamak uThūñ maiñ ġham-e-āb-dār aa.e koī
mirī nazar meñ chamakte haiñ garm-o-sard jahāñ
maiñ jāñch lūñgā zar-e-kam-ayār aa.e koī
hai zaḳhm zaḳhm badan sañg-e-harf-e-talḳh se aaj
kahīñ se narmī-e-lab kī phuvār aa.e koī
maiñ jal gayā dil-e-vīrāñ kī ḳhushk vaadī meñ
farāz-e-dard se phir ābshār aa.e koī
ye dasht-e-tishna-labī chhoḌ kar maiñ kyuuñ jā.ūñ
mire liye to yahīñ jū-e-bār aa.e koī
hai zo.am-e-sho.ala to dekhe havā-e-dard kā zor
charāġh hai to sar-e-rahguzār aa.e koī
ik aur bhī hai jahāñ is jahān-e-jabr se duur
majāl hai to vahāñ shahryār aa.e koī
ġhanīm-e-shab ko maiñ zaḳhmoñ se chuur kar aayā
sahar kā āḳhirī neza bhī maar aa.e koī
Thahar ga.e haiñ kahāñ mere ham-safar 'shāhīñ'
khaḌā huuñ der se jañgal ke paar aa.e koī
KHas-e-badan mein ba-rang-e-sharar aae koi
chamak uThun main gham-e-ab-dar aae koi
meri nazar mein chamakte hain garm-o-sard jahan
main jaanch lunga zar-e-kam-ayar aae koi
hai zaKHm zaKHm badan sang-e-harf-e-talKH se aaj
kahin se narmi-e-lab ki phuwar aae koi
main jal gaya dil-e-viran ki KHushk wadi mein
faraaz-e-dard se phir aabshaar aae koi
ye dasht-e-tishna-labi chhoD kar main kyun jaun
mere liye to yahin ju-e-bar aae koi
hai zoam-e-shoala to dekhe hawa-e-dard ka zor
charagh hai to sar-e-rahguzar aae koi
ek aur bhi hai jahan is jahan-e-jabr se dur
majal hai to wahan shahryar aae koi
ghanim-e-shab ko main zaKHmon se chur kar aaya
sahar ka aaKHiri neza bhi mar aae koi
Thahar gae hain kahan mere ham-safar 'shahin'
khaDa hun der se jangal ke par aae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.