KHasare ka sauda sabhi ne kiya hai
ḳhasāre kā saudā sabhī ne kiyā hai
batāo mohabbat ne kyā de diyā hai
sabaq laġhzishoñ se ye ham ne liyā hai
sañbhalnā hī sab se baḌā tajraba hai
kisī bevafā se na shikva gila hai
vafā se hī apnī hameñ kyā milā hai
sandesa milā yaad karne kā jab se
tujhe bhūlnā phir se mushkil huā hai
subūt aur kyā duuñ maiñ apnī vafā kā
duāoñ meñ ab bhī vahī bevafā hai
tire ruuTh jaane se mumtāz ab to
sadā ke liye ḳhud se 'tāhir' ḳhafā hai
KHasare ka sauda sabhi ne kiya hai
batao mohabbat ne kya de diya hai
sabaq laghzishon se ye hum ne liya hai
sanbhalna hi sab se baDa tajraba hai
kisi bewafa se na shikwa gila hai
wafa se hi apni hamein kya mila hai
sandesa mila yaad karne ka jab se
tujhe bhulna phir se mushkil hua hai
subut aur kya dun main apni wafa ka
duaon mein ab bhi wahi bewafa hai
tere ruTh jaane se mumtaz ab to
sada ke liye KHud se 'tahir' KHafa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.