KHasta-jaani mein koi shaKH hari chahte hain
ḳhasta-jānī meñ koī shāḳh harī chāhte haiñ
tire bīmār tirī chāragarī chāhte haiñ
raushnī ban ke utar shaam ke mehrāboñ par
ab tire log tirī jalvagarī chāhte haiñ
chāk-dāmānī se dikhte haiñ ta.alluq apnā
ishq meñ ham bhī kahāñ baḳhiya-garī chāhte haiñ
kis qadar dasht se mānūs hue haiñ shorafā
chhoḌ kar aish-o-tarab dar-ba-darī chāhte haiñ
aur kuchh aur mahak shaam kī maḳhmūr huā
ham tirī god gulāboñ se bharī chāhte haiñ
KHasta-jaani mein koi shaKH hari chahte hain
tere bimar teri chaaragari chahte hain
raushni ban ke utar sham ke mehrabon par
ab tere log teri jalwagari chahte hain
chaak-damani se dikhte hain talluq apna
ishq mein hum bhi kahan baKHiya-gari chahte hain
kis qadar dasht se manus hue hain shorafa
chhoD kar aish-o-tarab dar-ba-dari chahte hain
aur kuchh aur mahak sham ki maKHmur hua
hum teri god gulabon se bhari chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.