KHat ke chhoTe se tarashe mein nahin aaenge
KHat ke chhoTe se tarashe mein nahin aaenge
Khalid Nadeem Shaani
MORE BYKhalid Nadeem Shaani
ḳhat ke chhoTe se tarāshe meñ nahīñ ā.eñge
ġham ziyāda haiñ lifāfe meñ nahīñ ā.eñge
ham na majnūñ haiñ na farhād ke kuchh lagte haiñ
ham kisī dasht tamāshe meñ nahīñ ā.eñge
muḳhtasar vaqt meñ ye baat nahīñ ho saktī
dard itne haiñ ḳhulāse meñ nahīñ ā.eñge
us kī kuchh ḳhair-ḳhabar ho to batāo yaaro
ham kisī aur dilāse meñ nahīñ ā.eñge
jis tarah aap ne bīmār se ruḳhsat lī hai
saaf lagtā hai janāze meñ nahīñ ā.eñge
KHat ke chhoTe se tarashe mein nahin aaenge
gham ziyaada hain lifafe mein nahin aaenge
hum na majnun hain na farhad ke kuchh lagte hain
hum kisi dasht tamashe mein nahin aaenge
muKHtasar waqt mein ye baat nahin ho sakti
dard itne hain KHulase mein nahin aaenge
us ki kuchh KHair-KHabar ho to batao yaro
hum kisi aur dilase mein nahin aaenge
jis tarah aap ne bimar se ruKHsat li hai
saf lagta hai janaze mein nahin aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.