KHat ki ruKHsar par siyahi hai
ḳhat kī ruḳhsār par siyāhī hai
chashm-e-ḳhvābīda ḳhush-nigāhī hai
'ishq kā hai ġhubār-e-nāla 'urūj
āsmāñ auj-e-taḳht-e-shāhī hai
kyuuñ na ho andalīb garm-e-fuġhāñ
bū-e-gul har taraf ko raahī hai
ashk-e-hasrat hai aaj tūfāñ-ḳhez
kashtī-e-chashm kī tabāhī hai
huuñ giraftār aap apnā maiñ
halqa-e-fals dām-e-māhī hai
chashm-e-jānāñ kā ro.ab abrū hai
teġh se saulat-e-sipāhī hai
marg merā hai zabt-e-girya 'vaqār'
aab āb-e-hayāt-e-māhī hai
KHat ki ruKHsar par siyahi hai
chashm-e-KHwabida KHush-nigahi hai
'ishq ka hai ghubar-e-nala 'uruj
aasman auj-e-taKHt-e-shahi hai
kyun na ho andalib garm-e-fughan
bu-e-gul har taraf ko rahi hai
ashk-e-hasrat hai aaj tufan-KHez
kashti-e-chashm ki tabahi hai
hun giraftar aap apna main
halqa-e-fals dam-e-mahi hai
chashm-e-jaanan ka roab abru hai
tegh se saulat-e-sipahi hai
marg mera hai zabt-e-girya 'waqar'
aab aab-e-hayat-e-mahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.