KHat ko bas tir bana de koi
ḳhat ko bas tiir banā de koī
aisī tahrīr banā de koī
saarī duniyā kī maiñ daulat de duuñ
us kī tasvīr banā de koī
de ke us be-ḳhabar ko ek payām
merī taqdīr banā de koī
dard-e-dil hī rahe aur dil na rahe
aisī iksīr banā de koī
sun ke aa jaa.eñ vo fariyād 'karan'
aisī tāsīr banā de koī
KHat ko bas tir bana de koi
aisi tahrir bana de koi
sari duniya ki main daulat de dun
us ki taswir bana de koi
de ke us be-KHabar ko ek payam
meri taqdir bana de koi
dard-e-dil hi rahe aur dil na rahe
aisi iksir bana de koi
sun ke aa jaen wo fariyaad 'karan'
aisi tasir bana de koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.