KHata qubul nahin hai to KHud KHata kar dekh
ḳhatā qubūl nahīñ hai to ḳhud ḳhatā kar dekh
yā ek baar barābar meñ mere aa kar dekh
ye merā sabr hai ye mujh pise hue kā sabr
ḳhudā-e-qahr tū aa qahr aazmā kar dekh
ġhurūr vaar diyā maiñ ne fī-sabīlil-ishq
ai ishq tū bhī to ab thoḌā hausla kar dekh
maiñ dil kā achchhā huuñ lekin zarā sā huuñ gustāḳh
tū ek baar mujhe siine se lagā kar dekh
tū aazmā to chukā hai ye saare makr-o-fareb
bas ab azān-e-mohabbat zabāñ pe lā kar dekh
vo kuchh batāne se shāyad jhijaktī hogī 'vaqār'
tū ek baar use naam se bulā kar dekh
KHata qubul nahin hai to KHud KHata kar dekh
ya ek bar barabar mein mere aa kar dekh
ye mera sabr hai ye mujh pise hue ka sabr
KHuda-e-qahr tu aa qahr aazma kar dekh
ghurur war diya main ne fi-sabilil-ishq
ai ishq tu bhi to ab thoDa hausla kar dekh
main dil ka achchha hun lekin zara sa hun gustaKH
tu ek bar mujhe sine se laga kar dekh
tu aazma to chuka hai ye sare makr-o-fareb
bas ab azan-e-mohabbat zaban pe la kar dekh
wo kuchh batane se shayad jhijakti hogi 'waqar'
tu ek bar use nam se bula kar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.