KHata uski muafi se baDi hai
ḳhatā us kī muāfī se baḌī hai
maiñ kyā kartā sazā denī paḌī hai
nahīñ chal pā.ūñgā maiñ saath is ke
ye duniyā be-sabab zid par aḌī hai
havā ne phaaḌ dī tasvīr lekin
abhī ik kiil siine meñ gaḌī hai
vo masjid ghar na ban jaa.e kisī kā
namāzeñ band haiñ ḳhālī paḌī hai
nikal aayā añdhere meñ kahāñ maiñ
mirī parchhā.īñ bistar par paḌī hai
KHata us ki muafi se baDi hai
main kya karta saza deni paDi hai
nahin chal paunga main sath is ke
ye duniya be-sabab zid par aDi hai
hawa ne phaD di taswir lekin
abhi ek kil sine mein gaDi hai
wo masjid ghar na ban jae kisi ka
namazen band hain KHali paDi hai
nikal aaya andhere mein kahan main
meri parchhain bistar par paDi hai
- Book : Muhaz Par mein (Poetry) (Pg. 83)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.