khaTakte hain nigah-e-baghban mein
khaTakte haiñ nigāh-e-bāġhbāñ meñ
jo haiñ do-chār tinke āshiyāñ meñ
har ik saḳhtī meñ aalam naza.a kā thā
hamārī umr guzrī imtihāñ meñ
chhuḌā le sajda karne meñ na koī
lage haiñ laal sañg-e-āstāñ meñ
sharāre haiñ mire nāloñ ke qaa.em
ki taare jaḌ diye haiñ āsmāñ meñ
qarīb ab fasl-e-gul shāyad hai sayyād
mazā aane lagā merī fuġhāñ meñ
taras aatā nahīñ mujh par kisī ko
maiñ fariyād-e-jaras huuñ kārvāñ meñ
asar mai kā hai yā tauba kā nāseh
ki talḳhī sī hai kuchh ab tak zabāñ meñ
taḌapne vāloñ meñ bhī tafarqe hai
qafas meñ ham haiñ bijlī āshiyāñ meñ
kisī se chhūT kar aalam hai kuchh aur
paḌā hai tafarqe sā jism-o-jāñ meñ
'riyāz' ustād ne rutba ye baḳhshā
hamārī dhuum hai hindostāñ meñ
khaTakte hain nigah-e-baghban mein
jo hain do-chaar tinke aashiyan mein
har ek saKHti mein aalam naza ka tha
hamari umr guzri imtihan mein
chhuDa le sajda karne mein na koi
lage hain lal sang-e-astan mein
sharare hain mere nalon ke qaem
ki tare jaD diye hain aasman mein
qarib ab fasl-e-gul shayad hai sayyaad
maza aane laga meri fughan mein
taras aata nahin mujh par kisi ko
main fariyaad-e-jaras hun karwan mein
asar mai ka hai ya tauba ka naseh
ki talKHi si hai kuchh ab tak zaban mein
taDapne walon mein bhi tafarqe hai
qafas mein hum hain bijli aashiyan mein
kisi se chhuT kar aalam hai kuchh aur
paDa hai tafarqe sa jism-o-jaan mein
'riyaz' ustad ne rutba ye baKHsha
hamari dhum hai hindostan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.