KHatar hai rishta-e-ulfat rag-e-gardan na ho jawe
ḳhatar hai rishta-e-ulfat rag-e-gardan na ho jaave
ġhurūr-e-dostī aafat hai tū dushman na ho jaave
samajh is fasl meñ kotāhi-e-nashv-o-numā 'ġhālib'
agar gul sarv ke qāmat pe pairāhan na ho jaave
ba-pās-e-shoḳhī-e-mizhgāñ sar-e-har-ḳhār sozan hai
tabassum barg-e-gul ko baḳhiya-e-dāman na ho jaave
jarāhat-dozī-e-'āshiq hai jā-e-rahm Dartā huuñ
ki rishta tār-e-ashk-e-dīda-e-sozan na ho jaave
ġhazab sharm-āfrīñ hai rang-rezī hā-e-ḳhud-benī
safedī ā.īne kī pamba-e-rauzan na ho jaave
KHatar hai rishta-e-ulfat rag-e-gardan na ho jawe
ghurur-e-dosti aafat hai tu dushman na ho jawe
samajh is fasl mein kotahi-e-nashw-o-numa 'ghaalib'
agar gul sarw ke qamat pe pairahan na ho jawe
ba-pas-e-shoKHi-e-mizhgan sar-e-har-KHar sozan hai
tabassum barg-e-gul ko baKHiya-e-daman na ho jawe
jarahat-dozi-e-'ashiq hai ja-e-rahm Darta hun
ki rishta tar-e-ashk-e-dida-e-sozan na ho jawe
ghazab sharm-afrin hai rang-rezi ha-e-KHud-beni
safedi aaine ki pamba-e-rauzan na ho jawe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.