KHatm kaise zindagi karte ke duniya dekhti
ḳhatm kaise zindagī karte ke duniyā dekhtī
kis ke dar pe ḳhud-kushī karte ke duniyā dekhtī
muflisī thī aur ham the ghar ke iklaute charāġh
varna aisī raushnī karte ke duniyā dekhtī
sard-mehrī aap kī rishte meñ haa.il ho ga.ī
varna ham vo āshiqī karte ke duniyā dekhtī
ḳhaak sahrā kī uḌāte phir rahe ho tum kahāñ
shahr meñ āvārgī karte ke duniyā dekhtī
tum bhī 'kāshif' fā.elātun meñ ulajh kar rah ga.e
sīdhe sīdhe shā.erī karte ke duniyā dekhtī
KHatm kaise zindagi karte ke duniya dekhti
kis ke dar pe KHud-kushi karte ke duniya dekhti
muflisi thi aur hum the ghar ke iklaute charagh
warna aisi raushni karte ke duniya dekhti
sard-mehri aap ki rishte mein hail ho gai
warna hum wo aashiqi karte ke duniya dekhti
KHak sahra ki uDate phir rahe ho tum kahan
shahr mein aawargi karte ke duniya dekhti
tum bhi 'kashif' faelatun mein ulajh kar rah gae
sidhe sidhe shaeri karte ke duniya dekhti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.