KHatm teri yaad ka har silsila kaise karun
ḳhatm terī yaad kā har silsila kaise karūñ
duur rah kar maiñ tujhe ḳhud se judā kaise karūñ
par sameTe ḳhud hī baiThā hai parinda ik taraf
jo qafas meñ hī nahīñ us ko rihā kaise karūñ
dekhnā aur dekh kar bas dekhte rahnā tujhe
is tasalsul kī batā maiñ intihā kaise karūñ
mustaqil dīvār se maiñ ne lagā rakkhe haiñ kaan
is meñ chunvā.ī ga.ī chup ko sadā kaise karūñ
dekhtī rahtī huuñ in ko sochtī rahtī huuñ ye
terī āñkhoñ kī zabāñ kā tarjuma kaise karūñ
jā rahā hai jaa.e vo maiñ kis liye rokūñ use
ai mire dil bevafā ko bā-vafā kaise karūñ
ain mumkin hai ki mujh ko ḳhud-kushī karnī paḌe
varna itne sānehoñ kā haq adā kaise karūñ
āzmā.ish kī zarūrat ho na jis meñ 'ā.isha'
ishq meñ us marhale kī ibtidā kaise karūñ
KHatm teri yaad ka har silsila kaise karun
dur rah kar main tujhe KHud se juda kaise karun
par sameTe KHud hi baiTha hai parinda ek taraf
jo qafas mein hi nahin us ko riha kaise karun
dekhna aur dekh kar bas dekhte rahna tujhe
is tasalsul ki bata main intiha kaise karun
mustaqil diwar se main ne laga rakkhe hain kan
is mein chunwai gai chup ko sada kaise karun
dekhti rahti hun in ko sochti rahti hun ye
teri aankhon ki zaban ka tarjuma kaise karun
ja raha hai jae wo main kis liye rokun use
ai mere dil bewafa ko ba-wafa kaise karun
ain mumkin hai ki mujh ko KHud-kushi karni paDe
warna itne sanehon ka haq ada kaise karun
aazmaish ki zarurat ho na jis mein 'aisha'
ishq mein us marhale ki ibtida kaise karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.