KHauf kyon roz sar liya jae
ḳhauf kyoñ roz sar liyā jaa.e
ek hī baar mar liyā jaa.e
bolte ko thamāo ḳhāmoshī
is se pahle ki dhar liyā jaa.e
toḌā jaa.e tilism chāhat kā
āḳhirī kaam kar liyā jaa.e
kar liyā jaa.e zindagī se mazāq
us mahalle meñ ghar liyā jaa.e
baañT dī jaa.e 'umr sadmoñ meñ
āgahī kā asar liyā jaa.e
KHauf kyon roz sar liya jae
ek hi bar mar liya jae
bolte ko thamao KHamoshi
is se pahle ki dhar liya jae
toDa jae tilism chahat ka
aaKHiri kaam kar liya jae
kar liya jae zindagi se mazaq
us mahalle mein ghar liya jae
banT di jae 'umr sadmon mein
aagahi ka asar liya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.