KHayal apna udhar laga ke
ḳhayāl apnā udhar lagā ke
paḌā huuñ ab dil ko Dar lagā ke
vo aap rū-posh ho gayā hai
hamāre zimme safar lagā ke
kalām ham se karegā lekin
agar lagā ke magar lagā ke
kisī ke baare meñ sochtā hai
kisī ke siine se sar lagā ke
hue haiñ sapne 'azīz jab se
uḌī mirī niiñd par lagā ke
'munīr' ruḳh par shikast-e-dil kī
maiñ phir rahā huuñ ḳhabar lagā ke
KHayal apna udhar laga ke
paDa hun ab dil ko Dar laga ke
wo aap ru-posh ho gaya hai
hamare zimme safar laga ke
kalam hum se karega lekin
agar laga ke magar laga ke
kisi ke bare mein sochta hai
kisi ke sine se sar laga ke
hue hain sapne 'aziz jab se
uDi meri nind par laga ke
'munir' ruKH par shikast-e-dil ki
main phir raha hun KHabar laga ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.