Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal-e-dost na main yaad-e-yar mein gum hun

Siraj Lakhnavi

KHayal-e-dost na main yaad-e-yar mein gum hun

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    ḳhayāl-e-dost na maiñ yād-e-yār meñ gum huuñ

    ḳhud apnī fikr-o-nazar bahār meñ gum huuñ

    ḳhushī se jabr-zada iḳhtiyār meñ gum huuñ

    ajiib dilkashī-e-nāgavār meñ gum huuñ

    ḳhud apnī yād-e-farāmosh-kār meñ gum huuñ

    bahāna ye hai tire intizār meñ gum huuñ

    na mohtasib ḳhushāmad na mai-kade tavāf

    ḳhudī meñ mast huuñ apnī bahār meñ gum huuñ

    tirā jamāl bhī dekhūñgā vaqt aane de

    abhī to apne ā.īna-zār meñ gum huuñ

    pukār mirā naam le ke ai ġham-e-ishq

    paḌā hai vaqt ġham-e-rozgār meñ gum huuñ

    na shaam hai ḳhabar aur na sub.h pahchān

    'sirāj' gardish-e-lail-o-nahār meñ gum huuñ

    KHayal-e-dost na main yaad-e-yar mein gum hun

    KHud apni fikr-o-nazar ki bahaar mein gum hun

    KHushi se jabr-zada iKHtiyar mein gum hun

    ajib dilkashi-e-nagawar mein gum hun

    KHud apni yaad-e-faramosh-kar mein gum hun

    bahana ye hai tere intizar mein gum hun

    na mohtasib ki KHushamad na mai-kade ka tawaf

    KHudi mein mast hun apni bahaar mein gum hun

    tera jamal bhi dekhunga waqt aane de

    abhi to apne hi aaina-zar mein gum hun

    tu hi pukar mera nam le ke ai gham-e-ishq

    paDa hai waqt gham-e-rozgar mein gum hun

    na sham ki hai KHabar aur na subh ki pahchan

    'siraj' gardish-e-lail-o-nahaar mein gum hun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now