KHayal-e-gul-badan aa kar basa ho jis ke pahlu mein
KHayal-e-gul-badan aa kar basa ho jis ke pahlu mein
Ishq Aurangabadi
MORE BYIshq Aurangabadi
ḳhayāl-e-gul-badan aa kar basā ho jis ke pahlū meñ
vo bū-e-ġhuncha-e-gul ko nahīñ gintā kisī bū meñ
ta.ajjub niiñ hai us kī aab se bū-e-gulāb aa.e
paḌe gar aks us gul-rū ke rū kā jis lab-e-jū meñ
muqābil ho hamāre kasb-e-taqlīdī se kyā tāqat
abhī ham mahv kar dete haiñ ā.īne ko ik hū meñ
hai kis ke zulf kā saudā tujhe ai ishq batlā de
hamesha itr-e-ambar kī sī bū aatī hai tujh ḳhū meñ
KHayal-e-gul-badan aa kar basa ho jis ke pahlu mein
wo bu-e-ghuncha-e-gul ko nahin ginta kisi bu mein
tajjub nin hai us ki aab se bu-e-gulab aae
paDe gar aks us gul-ru ke ru ka jis lab-e-ju mein
muqabil ho hamare kasb-e-taqlidi se kya taqat
abhi hum mahw kar dete hain aaine ko ek hu mein
hai kis ke zulf ka sauda tujhe ai ishq batla de
hamesha itr-e-ambar ki si bu aati hai tujh KHu mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.