Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal-e-husn-e-be-misal dastaras mein aa gaya

Jaani Lakhnavi

KHayal-e-husn-e-be-misal dastaras mein aa gaya

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    ḳhayāl-e-husn-e-be-misāl dastaras meñ aa gayā

    ḳhudī pe iḳhtiyār merā pesh-o-pas meñ aa gayā

    yahīñ kahīñ pe āḳhirī paḌāv zindagī hai

    tumhārā sog aaj lahja-e-jaras meñ aa gayā

    nazar ko pher kar asīr-e-dard kar ga.e ho tum

    maiñ ik parind-e-be-navā kisī qafas meñ aa gayā

    vo rāstoñ ke pech-o-ḳham sañvārtā chalā gayā

    idhar bhī hausla kuchh nafas nafas meñ aa gayā

    chaman chaman ḳhizāñ rut ham-safar banā rahā

    kuchh aisā rang gulistāñ ke ḳhār-o-ḳhas meñ aa gayā

    vo mumkināt safar jo tai kiyā gayā nahīñ

    gumān se nikal gayā hai ab havas meñ aa gayā

    yaqīn se hai bālā-tar ki aaj tak dil-e-‘umar’

    kisī ke bas thā nahīñ kisī ke bas meñ aa gayā

    KHayal-e-husn-e-be-misal dastaras mein aa gaya

    KHudi pe iKHtiyar mera pesh-o-pas mein aa gaya

    yahin kahin pe aaKHiri paDaw zindagi ka hai

    tumhaara sog aaj lahja-e-jaras mein aa gaya

    nazar ko pher kar asir-e-dard kar gae ho tum

    main ek parind-e-be-nawa kisi qafas mein aa gaya

    wo raston ke pech-o-KHam sanwarta chala gaya

    idhar bhi hausla sa kuchh nafas nafas mein aa gaya

    chaman chaman KHizan ki rut ka ham-safar bana raha

    kuchh aisa rang gulistan ke KHar-o-KHas mein aa gaya

    wo mumkinat ka safar jo tai kiya gaya nahin

    guman se nikal gaya hai ab hawas mein aa gaya

    yaqin se hai baala-tar ki aaj tak dil-e-‘umar’

    kisi ke bas ka tha nahin kisi ke bas mein aa gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now