KHayal-e-pursish-e-farda se ghabrana nahin aata
KHayal-e-pursish-e-farda se ghabrana nahin aata
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
ḳhayāl-e-pursish-e-fardā se ghabrānā nahīñ aatā
gunah kartā huuñ lekin mujh ko pachhtānā nahīñ aatā
yaqīn-e-da.avā-e-ulfat nahīñ maanā nahīñ aatā
magar ye bhī to hai jhūToñ ko jhuTlānā nahīñ aatā
tabī.at hai ġhayūr aisī ki tishna-kām rahtā huuñ
lagī-lipTī kisī kī sun ke pī jaanā nahīñ aatā
mirī nākāmiyāñ dil kā chaman shādāb rakhtī haiñ
ye vo kaliyāñ haiñ jin ko khil ke murjhānā nahīñ aatā
kisī ke vāda-e-bātil se taskīñ ho nahīñ saktī
khilaune de ke mujh ko dil kā bahlānā nahīñ aatā
vafā kī dāstāñ duniyā meñ 'kaifī' kab nahīñ chhiḌtī
zabān-e-ḳhalq par kab merā afsāna nahīñ aatā
KHayal-e-pursish-e-farda se ghabrana nahin aata
gunah karta hun lekin mujh ko pachhtana nahin aata
yaqin-e-dawa-e-ulfat nahin mana nahin aata
magar ye bhi to hai jhuTon ko jhuTlana nahin aata
tabiat hai ghayur aisi ki tishna-kaam rahta hun
lagi-lipTi kisi ki sun ke pi jaana nahin aata
meri nakaamiyan dil ka chaman shadab rakhti hain
ye wo kaliyan hain jin ko khil ke murjhana nahin aata
kisi ke wada-e-baatil se taskin ho nahin sakti
khilaune de ke mujh ko dil ka bahlana nahin aata
wafa ki dastan duniya mein 'kaifi' kab nahin chhiDti
zaban-e-KHalq par kab mera afsana nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.