KHayal-e-shab kabhi fikr-e-sahar mein rahta hai
KHayal-e-shab kabhi fikr-e-sahar mein rahta hai
Nafees Ahmad Sahar
MORE BYNafees Ahmad Sahar
ḳhayāl-e-shab kabhī fikr-e-sahar meñ rahtā hai
tamām umr parinda safar meñ rahtā hai
milegā kyā vo tumheñ aarzī masarrat se
jo lutf-e-ḳhās ġham-e-mo'tabar meñ rahtā hai
kisī ko baḌh ke na tum aa.ina dikhā denā
ki intiqām kā jazba bashar meñ rahtā hai
vahī to fikr ko detā hai fan kā pairāhan
jo e'timād ki dast-e-hunar meñ rahtā hai
matā-e-hosh na luT jaa.e dil na ruk jaa.e
ye Dar 'sahar' hameñ apne hī ghar meñ rahtā hai
KHayal-e-shab kabhi fikr-e-sahar mein rahta hai
tamam umr parinda safar mein rahta hai
milega kya wo tumhein aarzi masarrat se
jo lutf-e-KHas gham-e-mo'tabar mein rahta hai
kisi ko baDh ke na tum aaina dikha dena
ki intiqam ka jazba bashar mein rahta hai
wahi to fikr ko deta hai fan ka pairahan
jo e'timad ki dast-e-hunar mein rahta hai
mata-e-hosh na luT jae dil na ruk jae
ye Dar 'sahar' hamein apne hi ghar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.