KHayal-e-tark-e-talluq ko Talte rahiye
ḳhayāl-e-tark-e-ta.alluq ko Tālte rahiye
havā meñ koī hayūlā uchhālte rahiye
purāne āshnā chehroñ ko yaad kar kar ke
hujūm-e-ġham meñ bhī dil ko sambhālte rahiye
tamām umr yūñhī kiije hasratoñ kā shumār
tamām umr yūñhī dukh sambhālte rahiye
sajā ke roz na.ī mahfileñ na.e chehre
zar-e-fasurda-dilī ko ujālte rahiye
raheñ na dasht jo sahrā-navardiyoñ ke liye
to apne sahn meñ patthar uchhālte rahiye
na mil sakeñ jo vo yārān-e-gul-sifat 'nāhīd'
to apne aap ko sāñchoñ meñ Dhālte rahiye
KHayal-e-tark-e-talluq ko Talte rahiye
hawa mein koi hayula uchhaalte rahiye
purane aashna chehron ko yaad kar kar ke
hujum-e-gham mein bhi dil ko sambhaalte rahiye
tamam umr yunhi kije hasraton ka shumar
tamam umr yunhi dukh sambhaalte rahiye
saja ke roz nai mahfilen nae chehre
zar-e-fasurda-dili ko ujalte rahiye
rahen na dasht jo sahra-nawardiyon ke liye
to apne sahn mein patthar uchhaalte rahiye
na mil saken jo wo yaran-e-gul-sifat 'nahid'
to apne aap ko sanchon mein Dhaalte rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.