KHayal-e-yar ka sikka uchhaalne mein gaya
ḳhayāl-e-yār kā sikka uchhālne meñ gayā
junūñ ḳharīta-e-zar thā sambhālne meñ gayā
lahū jigar kā huā sarf-e-rañg-e-dast-e-hinā
jo saudā sar meñ thā sahrā khañgālne meñ gayā
gurez-pā thā bahut husn-pāra-e-hastī
so arsa umr kā zanjīr Dālne meñ gayā
nihāl yādoñ kī chāñdī meñ shab to din saarā
kisī ke zikr kā sonā uchhālne meñ gayā
thī dast-gāh bayāñ par magar kamāl-e-hunar
ġham-e-hayāt ke qissoñ ko Tālne meñ gayā
KHayal-e-yar ka sikka uchhaalne mein gaya
junun KHarita-e-zar tha sambhaalne mein gaya
lahu jigar ka hua sarf-e-rang-e-dast-e-hina
jo sauda sar mein tha sahra khangalne mein gaya
gurez-pa tha bahut husn-para-e-hasti
so arsa umr ka zanjir Dalne mein gaya
nihaal yaadon ki chandi mein shab to din sara
kisi ke zikr ka sona uchhaalne mein gaya
thi dast-gah bayan par magar kamal-e-hunar
gham-e-hayat ke qisson ko Talne mein gaya
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 55)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.