KHayal-e-yar ki galiyon se jab guzarte hain
ḳhayāl-e-yār kī galiyoñ se jab guzarte haiñ
na.e ġhurūr se furqat ke daaġh jalte haiñ
namī hai aañkh meñ go ki tumhārī yādoñ kī
isī bahāne ka.ī aur ġham baraste haiñ
visāl-e-yār kā mausam thā merī chūḌī thī
kalā.iyoñ pe abhī tak vo pal dhaḌakte haiñ
nigāh-e-yār ko kaise ġhazal karūñgī maiñ
ki us ke dekhne se qāfiye bahakte haiñ
hazār saal tavālat hai is judā.ī kī
hazār aañkh meñ aañsū abhī sulagte haiñ
hamāre baam pe ruktā hai is tasalsul se
purāne dard na.e chāñd meñ damakte haiñ
vo merī pahlī mohabbat kā aks hai 'nīlam'
usī pe harf-e-mohabbat tamām karte haiñ
KHayal-e-yar ki galiyon se jab guzarte hain
nae ghurur se furqat ke dagh jalte hain
nami hai aankh mein go ki tumhaari yaadon ki
isi bahane kai aur gham baraste hain
visal-e-yar ka mausam tha meri chuDi thi
kalaiyon pe abhi tak wo pal dhaDakte hain
nigah-e-yar ko kaise ghazal karungi main
ki us ke dekhne se qafiye bahakte hain
hazar sal tawalat hai is judai ki
hazar aankh mein aansu abhi sulagte hain
hamare baam pe rukta hai is tasalsul se
purane dard nae chand mein damakte hain
wo meri pahli mohabbat ka aks hai 'nilam'
usi pe harf-e-mohabbat tamam karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.