KHayal-e-yakta mein KHwab itne
ḳhayāl-e-yaktā meñ ḳhvāb itne
savāl tanhā javāb itne
kabhī na ḳhūbī kā dhyān aayā
hue jahāñ meñ ḳharāb itne
hisāb denā paḌā hameñ bhī
ki ham jo the be-hisāb itne
bas ik nazar meñ hazār bāteñ
phir us se aage hijāb itne
mahak uThe rañg-e-surḳh jaise
khile chaman meñ gulāb itne
'munīr' aa.e kahāñ se dil meñ
na.e na.e iztirāb itne
KHayal-e-yakta mein KHwab itne
sawal tanha jawab itne
kabhi na KHubi ka dhyan aaya
hue jahan mein KHarab itne
hisab dena paDa hamein bhi
ki hum jo the be-hisab itne
bas ek nazar mein hazar baaten
phir us se aage hijab itne
mahak uThe rang-e-surKH jaise
khile chaman mein gulab itne
'munir' aae kahan se dil mein
nae nae iztirab itne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.