KHayal guzre kahan kahan ka irada un ko ho gar yahin ka
KHayal guzre kahan kahan ka irada un ko ho gar yahin ka
Qurban Ali Salik Beg
MORE BYQurban Ali Salik Beg
ḳhayāl guzre kahāñ kahāñ kā irāda un ko ho gar yahīñ kā
na kuchh Thikānā mire gumāñ kā na kuchh Thikānā mire yaqīñ kā
na shauq mujh ko hai hūr-e-īñ kā na pās-e-vā.iz hai apne diiñ kā
jo zikr karnā hai gar yahīñ kā sunā na jhagḌā kahīñ kahīñ kā
ḳharāb kū-e-butāñ hai ḳhilqat yahīñ se paate haiñ ranj-o-rāhat
sip.har-e-gardish meñ kar na jur.at ki daur aayā hai ab zamīñ kā
shahīd hone kī ye tamannā na dil se niklegī dekh lenā
uThā.e ḳhanjar vo haath meñ kyā na yaar sañbhle jab āstīñ kā
hazār naale zabāñ pe laatā hazār mahshar abhī dikhātā
shab-e-judā.ī agar na aatā ḳhayāl us chashm-e-surmagīñ kā
nishān-e-pā-e-adū ne maarā ki tere dar par nahīñ gavārā
jhuke jo sajde ko sar hamārā miTā.eñ likkhā huā jabīñ kā
kahūñ matālib sab apne jī ke ye shart kiije ki haañ na kiije
kaho nahīñ phir usī tarah se mujhe hai sunñā nahīñ nahīñ kā
jo pūchhe mujh sā hai koī bad-zan kaho na ahvāl-e-vasl-e-dushman
ye maiñ ne maanā ki tum ho pur-fan 'ilāj kyā chashm-e-sharmgīñ kā
milegī mahshar meñ daad ab kyā adā-e-matlab meñ huuñ maiñ uljhā
bayān pahle hī kyuuñ kiyā thā tumhāre gesū-e-ambarīñ kā
bayān-e-lutf-e-adū jafā hai ye tum se sau-bār kah diyā hai
phir ab kī sun lo nahīñ rahā hai hameñ bhī zabt āh-e-ātshīñ kā
'ajab hai 'sālik' bhī riñd-mashrab ki chhoḌ baiThā hai millateñ sab
na māntā hai kisī kā maz.hab na hai ye pāband apne diiñ kā
KHayal guzre kahan kahan ka irada un ko ho gar yahin ka
na kuchh Thikana mere guman ka na kuchh Thikana mere yaqin ka
na shauq mujh ko hai hur-e-in ka na pas-e-waiz hai apne din ka
jo zikr karna hai gar yahin ka suna na jhagDa kahin kahin ka
KHarab ku-e-butan hai KHilqat yahin se pate hain ranj-o-rahat
siphar-e-gardish mein kar na jurat ki daur aaya hai ab zamin ka
shahid hone ki ye tamanna na dil se niklegi dekh lena
uThae KHanjar wo hath mein kya na yar sanbhle jab aastin ka
hazar nale zaban pe lata hazar mahshar abhi dikhata
shab-e-judai agar na aata KHayal us chashm-e-surmagin ka
nishan-e-pa-e-adu ne mara ki tere dar par nahin gawara
jhuke jo sajde ko sar hamara miTaen likkha hua jabin ka
kahun matalib sab apne ji ke ye shart kije ki han na kije
kaho nahin phir usi tarah se mujhe hai sunna nahin nahin ka
jo puchhe mujh sa hai koi bad-zan kaho na ahwal-e-wasl-e-dushman
ye main ne mana ki tum ho pur-fan 'ilaj kya chashm-e-sharmgin ka
milegi mahshar mein dad ab kya ada-e-matlab mein hun main uljha
bayan pahle hi kyun kiya tha tumhaare gesu-e-ambarin ka
bayan-e-lutf-e-adu jafa hai ye tum se sau-bar kah diya hai
phir ab ki sun lo nahin raha hai hamein bhi zabt aah-e-atshin ka
'ajab hai 'salik' bhi rind-mashrab ki chhoD baiTha hai millaten sab
na manta hai kisi ka mazhab na hai ye paband apne din ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.