KHayal itna sitam-ijad rakhna
ḳhayāl itnā sitam-ījād rakhnā
vafā.eñ kuchh hamārī yaad rakhnā
nahīñ shikva jo rakkhā ham ko nāshād
qayāmat hai adū ko shaad rakhnā
batā kyā thā ki mujh ko qatl kar ke
jigar par haath o jallād rakhnā
adū ke saath karnā aish-o-ishrat
hameñ o bevafā nāshād rakhnā
jo mahfil meñ ho terī daur-e-sāġhar
zarā saaqī hameñ bhī yaad rakhnā
khiñche us shoḳh kī tasvīr dilkash
adā koī na.ī bahzād rakhnā
mujhe duniyā se jis but ne miTāyā
ḳhudāyā tū use ābād rakhnā
mirā dil nāzoñ kā paalā huā hai
liye jaate ho us ko shaad rakhnā
kahīñ mil jaa.e dil us kā na ai dil
ḳhayāl itnā dam-e-fariyād rakhnā
ġhazab hai tujh ko o qātil na aaya
gale par ḳhanjar-e-faulād rakhnā
'diler' itnā kahe dete haiñ tum se
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-jallād rakhnā
KHayal itna sitam-ijad rakhna
wafaen kuchh hamari yaad rakhna
nahin shikwa jo rakkha hum ko nashad
qayamat hai adu ko shad rakhna
bata kya tha ki mujh ko qatl kar ke
jigar par hath o jallad rakhna
adu ke sath karna aish-o-ishrat
hamein o bewafa nashad rakhna
jo mahfil mein ho teri daur-e-saghar
zara saqi hamein bhi yaad rakhna
khinche us shoKH ki taswir dilkash
ada koi nai bahzad rakhna
mujhe duniya se jis but ne miTaya
KHudaya tu use aabaad rakhna
mera dil nazon ka pala hua hai
liye jate ho us ko shad rakhna
kahin mil jae dil us ka na ai dil
KHayal itna dam-e-fariyaad rakhna
ghazab hai tujh ko o qatil na aaya
gale par KHanjar-e-faulad rakhna
'diler' itna kahe dete hain tum se
KHayal-e-KHatir-e-jallad rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.