KHayal jin ka hamein roz-o-shab satata hai
ḳhayāl jin kā hameñ roz-o-shab satātā hai
kabhī unheñ bhī hamārā ḳhayāl aatā hai
tumhārā ishq jise ḳhaak meñ milātā hai
isī kī ḳhaak se phir phuul bhī khilātā hai
Dhalegī raat to phailegā nuur bhī is kā
charāġh apnā sar-e-shām jhilmilātā hai
na tai huī tirī sham-e-jamāl se bhī jo raah
vahīñ pe merā junūñ rāsta dikhātā hai
na jaane shauq ko aadat hai kyuuñ bahakne kī
tirā hijāb to be-shak adab sikhātā hai
kahāñ bujhā.e se bujhte haiñ ishq ke sho.ale
charāġh yuuñ to jo jaltā hai bujh bhī jaatā hai
ye bād-e-rāh-e-guzar dar-ḳhur-e-chaman na sahī
ġhubār kā bhī Thikānā nikal hī aatā hai
junūñ kī chaal pe ThiTkī na vo nazar tanhā
yahāñ zamāna bhī qadmoñ meñ loT jaatā hai
hai tere ġham kī ġham-e-rozgār se sāzish
kahāñ kahāñ dil-e-dīvāna kaam aatā hai
'surūr' jins-e-vafā bechte nahīñ phirte
jigar ke daaġh dikhānā to sab ko aatā hai
KHayal jin ka hamein roz-o-shab satata hai
kabhi unhen bhi hamara KHayal aata hai
tumhaara ishq jise KHak mein milata hai
isi ki KHak se phir phul bhi khilata hai
Dhalegi raat to phailega nur bhi is ka
charagh apna sar-e-sham jhilmilata hai
na tai hui teri sham-e-jamal se bhi jo rah
wahin pe mera junun rasta dikhata hai
na jaane shauq ko aadat hai kyun bahakne ki
tera hijab to be-shak adab sikhata hai
kahan bujhae se bujhte hain ishq ke shoale
charagh yun to jo jalta hai bujh bhi jata hai
ye baad-e-rah-e-guzar dar-KHur-e-chaman na sahi
ghubar ka bhi Thikana nikal hi aata hai
junun ki chaal pe ThiTki na wo nazar tanha
yahan zamana bhi qadmon mein loT jata hai
hai tere gham ki gham-e-rozgar se sazish
kahan kahan dil-e-diwana kaam aata hai
'surur' jins-e-wafa bechte nahin phirte
jigar ke dagh dikhana to sab ko aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.