KHayal ko zau nazar ko tabish nafas ko raKHshandagi milegi
ḳhayāl ko zau nazar ko tābish nafas ko raḳhshandagī milegī
bhaḌak uThā soz-e-ġham jo dil meñ to har kahīñ raushnī milegī
maqām-e-insāñ maqām-e-yazdāñ jo fāsla hai to ik qadam kā
jahāñ milegī ḳhudī kī sarhad vahīñ had-e-be-ḳhudī milegī
na ziist ko hai davām hāsil na maut ko hai sabāt hāsil
ḳhizāñ meñ murjhā.egī jo Tahnī bahār meñ phir harī milegī
nigāh jitnī buland hogī usī qadar arjumand hogī
ba-qadr-e-qurb-e-falak kiran meñ harārat-o-raushnī milegī
rah-e-talab ke safar meñ 'rā'nā' sukūñ hai ḳhvāb-o-ḳhayāl yaksar
qadam-qadam Thokareñ lageñgī nafas-nafas barhamī milegī
KHayal ko zau nazar ko tabish nafas ko raKHshandagi milegi
bhaDak uTha soz-e-gham jo dil mein to har kahin raushni milegi
maqam-e-insan maqam-e-yazdan jo fasla hai to ek qadam ka
jahan milegi KHudi ki sarhad wahin had-e-be-KHudi milegi
na zist ko hai dawam hasil na maut ko hai sabaat hasil
KHizan mein murjhaegi jo Tahni bahaar mein phir hari milegi
nigah jitni buland hogi usi qadar arjumand hogi
ba-qadr-e-qurb-e-falak kiran mein hararat-o-raushni milegi
rah-e-talab ke safar mein 'ra'na' sukun hai KHwab-o-KHayal yaksar
qadam-qadam Thokaren lagengi nafas-nafas barhami milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.