KHayal-o-fikr ke sab mausamon mein rahti hai
ḳhayāl-o-fikr ke sab mausamoñ meñ rahtī hai
mirī nigāh ke vo ā.inoñ meñ rahtī hai
vo merī chhoTī sī guḌiyā vo jaan se pyārī
vajūd-e-zāt kī sab dhaḌkanoñ meñ rahtī hai
usī ke dam se mirī zindagī harārat hai
mire lahū kī sabhī ḳhushbuoñ meñ rahtī hai
mirī nazar meñ vo mausam hai iid kā mausam
vo ghar meñ aa ke mire jin rutoñ meñ rahtī hai
vo naanā naanī kī āñkhoñ meñ chashm-e-māmūñ meñ
har ik nigāh meñ sab manzaroñ meñ rahtī hai
usī ke faiz se ehsās-e-zindagānī bhī
vo valvaloñ meñ sabhī hausloñ meñ rahtī hai
so us kī yaad se raushan hai ḳhāna-e-hastī
vo mere dil meñ mirī ḳhvāhishoñ meñ rahtī hai
KHayal-o-fikr ke sab mausamon mein rahti hai
meri nigah ke wo aainon mein rahti hai
wo meri chhoTi si guDiya wo jaan se pyari
wajud-e-zat ki sab dhaDkanon mein rahti hai
usi ke dam se meri zindagi hararat hai
mere lahu ki sabhi KHushbuon mein rahti hai
meri nazar mein wo mausam hai id ka mausam
wo ghar mein aa ke mere jin ruton mein rahti hai
wo nana nani ki aankhon mein chashm-e-mamun mein
har ek nigah mein sab manzaron mein rahti hai
usi ke faiz se ehsas-e-zindagani bhi
wo walwalon mein sabhi hauslon mein rahti hai
so us ki yaad se raushan hai KHana-e-hasti
wo mere dil mein meri KHwahishon mein rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.