KHayal-o-KHwab hua barg-o-bar ka mausam
ḳhayāl-o-ḳhvāb huā barg-o-bār kā mausam
bichhaḌ gayā tirī sūrat bahār kā mausam
ka.ī rutoñ se mire nīm-vā darīchoñ meñ
Thahar gayā hai tire intizār kā mausam
vo narm lahje meñ kuchh to kahe ki lauT aa.e
samā'atoñ kī zamīñ par phuvār kā mausam
payām aayā hai phir ek sarv-qāmat kā
mire vujūd ko khīñche hai daar kā mausam
vo aag hai ki mirī por por jaltī hai
mire badan ko milā hai chinār kā mausam
rafāqatoñ ke na.e ḳhvāb ḳhushnumā haiñ magar
guzar chukā hai tire e’tibār kā mausam
havā chalī to na.ī bārisheñ bhī saath aa.iiñ
zamīñ ke chehre pe aayā nikhār kā mausam
vo merā naam liye jaa.e aur maiñ us kā naam
lahū meñ guuñj rahā hai pukār kā mausam
qadam rakhe mirī ḳhushbū ki ghar ko lauT aa.e
koī batā.e mujhe kū-e-yār kā mausam
vo roz aa ke mujhe apnā pyaar pahnā.e
mirā ġhurūr hai bele ke haar kā mausam
tire tarīq-e-mohabbat pe bārhā sochā
ye jabr thā ki tire iḳhtiyār kā mausam
KHayal-o-KHwab hua barg-o-bar ka mausam
bichhaD gaya teri surat bahaar ka mausam
kai ruton se mere nim-wa darichon mein
Thahar gaya hai tere intizar ka mausam
wo narm lahje mein kuchh to kahe ki lauT aae
sama'aton ki zamin par phuwar ka mausam
payam aaya hai phir ek sarw-qamat ka
mere wujud ko khinche hai dar ka mausam
wo aag hai ki meri por por jalti hai
mere badan ko mila hai chinar ka mausam
rafaqaton ke nae KHwab KHushnuma hain magar
guzar chuka hai tere e’tibar ka mausam
hawa chali to nai barishen bhi sath aain
zamin ke chehre pe aaya nikhaar ka mausam
wo mera nam liye jae aur main us ka nam
lahu mein gunj raha hai pukar ka mausam
qadam rakhe meri KHushbu ki ghar ko lauT aae
koi batae mujhe ku-e-yar ka mausam
wo roz aa ke mujhe apna pyar pahnae
mera ghurur hai bele ke haar ka mausam
tere tariq-e-mohabbat pe barha socha
ye jabr tha ki tere iKHtiyar ka mausam
- Book : Mah-e-tamam (Kulliyat),(khushboo) (Pg. 115)
- Author : Parveen shakir
- Publication : Educational publishing house (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.