KHayal-o-KHwab ko paband-e-KHu-e-yar rakha
ḳhayāl-o-ḳhvāb ko pāband-e-ḳhū-e-yār rakhā
so dil ko dil kī jagah ham ne baar baar rakkhā
use bhī maiñ ne bahut ḳhud pe iḳhtiyār diye
aur is tarah ki bahut ḳhud pe iḳhtiyār rakhā
dukhoñ kā kyā hai mujhe fikr hai ki us ne kyuuñ
bichhaḌte vaqt bhī lahje ko ḳhush-gavār rakhā
havā charāġh bujhāne lagī to ham ne bhī
diye kī lau kī jagah terā intizār rakhā
chhupā ke rakh liye andar ke apne dukh 'mohsin'
aur apnī zāhirī hālat ko bhī sañvār rakhā
KHayal-o-KHwab ko paband-e-KHu-e-yar rakha
so dil ko dil ki jagah hum ne bar bar rakkha
use bhi main ne bahut KHud pe iKHtiyar diye
aur is tarah ki bahut KHud pe iKHtiyar rakha
dukhon ka kya hai mujhe fikr hai ki us ne kyun
bichhaDte waqt bhi lahje ko KHush-gawar rakha
hawa charagh bujhane lagi to hum ne bhi
diye ki lau ki jagah tera intizar rakha
chhupa ke rakh liye andar ke apne dukh 'mohsin'
aur apni zahiri haalat ko bhi sanwar rakha
- Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.