KHayal-o-KHwab mein hona sada-e-baad mein rahna
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ honā sadā-e-bād meñ rahnā
kisī kī aas meñ jiinā kisī kī yaad meñ rahnā
pur-asrārī ajab sī hai tirī vīrān āñkhoñ meñ
tujhe bhī raas aayā ḳhāna-e-barbād meñ rahnā
mohabbat ek bahr-e-be-karāñ hai aur mohabbat meñ
kahīñ par qaid honā hai dil-e-āzād meñ rahnā
kisī kī yaad hai uljhī huī sāñsoñ kī Dorī se
kisī ke hijr meñ hai arsa-e-fariyād meñ rahnā
to phir hijr-o-visāl-o-ranj-o-ġham saare izāfī haiñ
jo hāsil hai vafā ko ishq kī buniyād meñ rahnā
jafā kī ek sī rasmeñ hī insāñ kā muqaddar haiñ
kisī kuufa meñ jiinā ho yā ki baġhdād meñ rahnā
kisī se kyā shikāyat zindagī ko raas aayā hai
jafā ke shahr meñ dasht-e-sitam-ījād meñ rahnā
KHayal-o-KHwab mein hona sada-e-baad mein rahna
kisi ki aas mein jina kisi ki yaad mein rahna
pur-asrari ajab si hai teri viran aankhon mein
tujhe bhi ras aaya KHana-e-barbaad mein rahna
mohabbat ek bahr-e-be-karan hai aur mohabbat mein
kahin par qaid hona hai dil-e-azad mein rahna
kisi ki yaad hai uljhi hui sanson ki Dori se
kisi ke hijr mein hai arsa-e-fariyaad mein rahna
to phir hijr-o-visal-o-ranj-o-gham sare izafi hain
jo hasil hai wafa ko ishq ki buniyaad mein rahna
jafa ki ek si rasmen hi insan ka muqaddar hain
kisi kufa mein jina ho ya ki baghdad mein rahna
kisi se kya shikayat zindagi ko ras aaya hai
jafa ke shahr mein dasht-e-sitam-ijad mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.