KHayal-o-KHwab tak taza rahenge jo bhi hoga
ḳhayāl-o-ḳhvāb tak taaza raheñge jo bhī hogā
jiyeñge aur tirī ḳhātir mareñge jo bhī hogā
tirī nārāzgī bhī ḳhatm karnī hai abhī to
tamāshā saadh kar joker baneñge jo bhī hogā
tumhāre bin guzārā hai to mushkil yaar phir bhī
kisī sūrat bhī lekin ham kareñge jo bhī hogā
tirī yādoñ ke jalte diip haiñ in tāqchoñ meñ
diyoñ ko har ghaḌī raushan rakheñge jo bhī hogā
mohabbat ke nahīñ ye āshiqī ke diin par haiñ
ye dariyā aise hī ulTe baheñge jo bhī hogā
ye marnā mārnā vaise lagā rahnā hai ham meñ
vatan par jaan ham de kar mareñge jo bhī hogā
sunā hai 'kāmil' aayā hai abhī dasht-e-junūñ se
chalo ham bhī use milne chaleñge jo bhī hogā
KHayal-o-KHwab tak taza rahenge jo bhi hoga
jiyenge aur teri KHatir marenge jo bhi hoga
teri naraazgi bhi KHatm karni hai abhi to
tamasha sadh kar joker banenge jo bhi hoga
tumhaare bin guzara hai to mushkil yar phir bhi
kisi surat bhi lekin hum karenge jo bhi hoga
teri yaadon ke jalte dip hain in taqchon mein
diyon ko har ghaDi raushan rakhenge jo bhi hoga
mohabbat ke nahin ye aashiqi ke din par hain
ye dariya aise hi ulTe bahenge jo bhi hoga
ye marna marna waise laga rahna hai hum mein
watan par jaan hum de kar marenge jo bhi hoga
suna hai 'kaamil' aaya hai abhi dasht-e-junun se
chalo hum bhi use milne chalenge jo bhi hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.