KHayal tha ki guman ko yaqin bana dunga
ḳhayāl thā ki gumāñ ko yaqīñ banā dūñgā
aur ab ye ḳhvāb likhūñgā bhī to miTā dūñgā
mujhe bhī saath hī le lo magar nahīñ yaaro
maiñ sust-rau huuñ tumhārī thakan baḌhā dūñgā
havā-e-shab mire sho.ale se intiqām na le
ki maiñ bujhā to ufuq tak dhoveñ uḌā dūñgā
baḌe shabāb se aa.egā sail-e-rañg ab ke
phir is meñ maiñ bhī to ik jū-e-ḳhūñ milā dūñgā
chalo ḳhamosh huā maiñ ab is sukūt ke ba.ad
na shab ko tuul na ham-sā.e ko sadā dūñgā
KHayal tha ki guman ko yaqin bana dunga
aur ab ye KHwab likhunga bhi to miTa dunga
mujhe bhi sath hi le lo magar nahin yaro
main sust-rau hun tumhaari thakan baDha dunga
hawa-e-shab mere shoale se intiqam na le
ki main bujha to ufuq tak dhowen uDa dunga
baDe shabab se aaega sail-e-rang ab ke
phir is mein main bhi to ek ju-e-KHun mila dunga
chalo KHamosh hua main ab is sukut ke baad
na shab ko tul na ham-sae ko sada dunga
- Book : Kulliyat-e-Mahshar Badayuni (Pg. 138)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.