KHayalon mein tumko basane laga hun
ḳhayāloñ meñ tum ko basāne lagā huuñ
maiñ ḳhud se bahut duur jaane lagā huuñ
ḳhushī ek chāhī to anjām ye hai
ki ḳhushiyoñ se dāman bachāne lagā huuñ
ga.e jab se tum duur nazroñ se merī
tumheñ dil ke nazdīk paane lagā huuñ
kahīñ phir na dekhe vo nazar-e-karam se
sukūñ be-ruḳhī meñ jo paane lagā huuñ
tafakkur hai chehre pe phir bāġhbāñ ke
ki phir se nasheman banāne lagā huuñ
na.e ġham na.ī ārzūeñ haiñ 'afsar'
na.ī ik ġhazal gungunāne lagā huuñ
KHayalon mein tum ko basane laga hun
main KHud se bahut dur jaane laga hun
KHushi ek chahi to anjam ye hai
ki KHushiyon se daman bachane laga hun
gae jab se tum dur nazron se meri
tumhein dil ke nazdik pane laga hun
kahin phir na dekhe wo nazar-e-karam se
sukun be-ruKHi mein jo pane laga hun
tafakkur hai chehre pe phir baghban ke
ki phir se nasheman banane laga hun
nae gham nai aarzuen hain 'afsar'
nai ek ghazal gungunane laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.