khel dil ka ajib hota hai
khel dil kā ajiib hotā hai
kaun kis ke qarīb hotā hai
pyaar miltā kisī ko rusvā.ī
apnā apnā nasīb hotā hai
kaam aa.e bure samay meñ jo
vo hī sachchā habīb hotā hai
pyaar hai jis ke paas vo insāñ
is jahāñ meñ ġharīb hotā hai
raaz jis ko batā diyā dil kā
vo hī merā raqīb hotā hai
khel dil ka ajib hota hai
kaun kis ke qarib hota hai
pyar milta kisi ko ruswai
apna apna nasib hota hai
kaam aae bure samay mein jo
wo hi sachcha habib hota hai
pyar hai jis ke pas wo insan
is jahan mein gharib hota hai
raaz jis ko bata diya dil ka
wo hi mera raqib hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.