khel jate hain jaan par aashiq
khel jaate haiñ jaan par āshiq
jaan dete haiñ aan par āshiq
koī in gāliyoñ se Talte haiñ
ham haiñ terī zabān par āshiq
ḳhvārī un āshiqoñ kī ve jo hue
tujh se nā-qadr-dān par āshiq
taaza aafat to ek ye hai ki ham
hue us nau-javān par āshiq
jaan dene ko suud jānte haiñ
ham haiñ apne ziyān par āshiq
is qadar girtī hai kahe to ye barq
hai mire āshiyān par āshiq
'mus.hafī' gar tū mard-e-kāmil hai
dil na rakh is jahān par āshiq
khel jate hain jaan par aashiq
jaan dete hain aan par aashiq
koi in galiyon se Talte hain
hum hain teri zaban par aashiq
KHwari un aashiqon ki we jo hue
tujh se na-qadr-dan par aashiq
taza aafat to ek ye hai ki hum
hue us nau-jawan par aashiq
jaan dene ko sud jaante hain
hum hain apne ziyan par aashiq
is qadar girti hai kahe to ye barq
hai mere aashiyan par aashiq
'mushafi' gar tu mard-e-kaamil hai
dil na rakh is jahan par aashiq
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 219)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.