KHemgi-e-shab hai tishnagi din hai
ḳhemgī-e-shab hai tishnagī din hai
vahī dariyā hai aur vahī din hai
is qadar mat udaas ho jaise
ye mohabbat kā āḳhirī din hai
ik diyā dil kī raushnī kā safīr
ho mayassar to raat bhī din hai
ḳhaak uḌāte kahāñ pe jāoge
ab to ye dasht bhī koī din hai
shaam aa.egī shab Darā.egī
tū abhī lauT jā abhī din hai
aur vo baam se utar bhī gayā
log samjhe the vāqa.ī din hai
mehrbāñ shab kī raah meñ 'bābar'
abhī ik aur ajnabī din hai
KHemgi-e-shab hai tishnagi din hai
wahi dariya hai aur wahi din hai
is qadar mat udas ho jaise
ye mohabbat ka aaKHiri din hai
ek diya dil ki raushni ka safir
ho mayassar to raat bhi din hai
KHak uDate kahan pe jaoge
ab to ye dasht bhi koi din hai
sham aaegi shab Daraegi
tu abhi lauT ja abhi din hai
aur wo baam se utar bhi gaya
log samjhe the waqai din hai
mehrban shab ki rah mein 'babar'
abhi ek aur ajnabi din hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.