khet aise sairab nahin hote bhai
khet aise sairāb nahīñ hote bhaa.ī
ashkoñ ke sailāb nahīñ hote bhaa.ī
ham jaisoñ kī niiñd thakāvaT hotī hai
ham jaisoñ ke ḳhvāb nahīñ hote bhaa.ī
zinda log hī Duub sakeñge āñkhoñ meñ
mare hue ġharqāb nahīñ hote bhaa.ī
ab sūraj kī saarī duniyā dushman hai
ab chehre mahtāb nahīñ hote bhaa.ī
in jhīloñ meñ pariyāñ roz utartī haiñ
āñkhoñ meñ tālāb nahīñ hote bhaa.ī
socheñ haiñ jo dauḌ dauḌ ke thaktī haiñ
thake hue a.asāb nahīñ hote bhaa.ī
khet aise sairab nahin hote bhai
ashkon ke sailab nahin hote bhai
hum jaison ki nind thakawaT hoti hai
hum jaison ke KHwab nahin hote bhai
zinda log hi Dub sakenge aankhon mein
mare hue gharqab nahin hote bhai
ab suraj ki sari duniya dushman hai
ab chehre mahtab nahin hote bhai
in jhilon mein pariyan roz utarti hain
aankhon mein talab nahin hote bhai
sochen hain jo dauD dauD ke thakti hain
thake hue aasab nahin hote bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.