khiDki se zara jhank le ek bar mere yar
khiḌkī se zarā jhāñk le ik baar mere yaar
hai kaun tire dar pe talabgār mere yaar
ik giit sar-e-shām latā jī kī sharan meñ
aur us pe tire paañv kī jhankār mere yaar
hoñToñ se gavārā nahīñ āñkhoñ se lagā le
hai zehnī kashākash meñ terā yaar mere yaar
ik shaam zarā bhar kisī darvesh kī jholī
ye bhī haiñ tirī zulf ke haqdār mere yaar
mumkin nahīñ ban jā.ūñ kisī dar kā savālī
rahtā hai najaf meñ mirā sardār mere yaar
sab laash mirī qabr meñ rakhne pe tule haiñ
bas ek sadā thī ki mere yaar mere yaar
miltī na ho roTī jise do vaqt kī 'sājid'
vo kaise kare ishq pe guftār mire yaar
khiDki se zara jhank le ek bar mere yar
hai kaun tere dar pe talabgar mere yar
ek git sar-e-sham lata ji ki sharan mein
aur us pe tere panw ki jhankar mere yar
honTon se gawara nahin aankhon se laga le
hai zehni kashakash mein tera yar mere yar
ek sham zara bhar kisi darwesh ki jholi
ye bhi hain teri zulf ke haqdar mere yar
mumkin nahin ban jaun kisi dar ka sawali
rahta hai najaf mein mera sardar mere yar
sab lash meri qabr mein rakhne pe tule hain
bas ek sada thi ki mere yar mere yar
milti na ho roTi jise do waqt ki 'sajid'
wo kaise kare ishq pe guftar mere yar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.