khiDkiyan dil ki khol ai bhai
khiḌkiyāñ dil kī khol ai bhaa.ī
husn-e-zan phir TaTol ai bhaa.ī
harf-e-shīrīñ hī bol ai bhaa.ī
shahd kānoñ meñ ghol ai bhaa.ī
tere gāhak na TuuT jaa.eñ kahīñ
kam tū hargiz na tol ai bhaa.ī
haiñ yagāne bhī apne matlab ke
band āñkheñ to khol ai bhaa.ī
kaise pītal bikegā sone meñ
jhol phir bhī hai jhol ai bhaa.ī
bhaiñs gaay bhī jab ki biktī hai
motī hīroñ ke mol ai bhaa.ī
kar le khoTe khare kī yuuñ pahchān
tū kasauTī pe rol ai bhaa.ī
apnī daulat kā apnī shohrat kā
pīTtā kyoñ hai Dhol ai bhaa.ī
ḳhatra lāhaq ho maut kā 'nayyar'
phir bhī haq baat bol ai bhaa.ī
khiDkiyan dil ki khol ai bhai
husn-e-zan phir TaTol ai bhai
harf-e-shirin hi bol ai bhai
shahd kanon mein ghol ai bhai
tere gahak na TuT jaen kahin
kam tu hargiz na tol ai bhai
hain yagane bhi apne matlab ke
band aankhen to khol ai bhai
kaise pital bikega sone mein
jhol phir bhi hai jhol ai bhai
bhains gay bhi jab ki bikti hai
moti hiron ke mol ai bhai
kar le khoTe khare ki yun pahchan
tu kasauTi pe rol ai bhai
apni daulat ka apni shohrat ka
piTta kyon hai Dhol ai bhai
KHatra lahaq ho maut ka 'nayyar'
phir bhi haq baat bol ai bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.