khiDkiyan suni dar-o-diwar chup
khiḌkiyāñ suunī dar-o-dīvār chup
saarī galiyāñ aur bhare bāzār chup
kis qayāmat kī ḳhabar aane ko hai
gaañv ke chaupāl chup aḳhbār chup
darmiyāñ hai ḳhauf kā dariyā ravāñ
maiñ yahāñ ḳhāmosh vo us paar chup
ik sadā us ko bulāne ke liye
ik sadā aa.e mujhe har baar chup
kaisā qaht-e-ādmiyyat hai yahāñ
zindagānī ke sabhī āsār chup
kis qayāmat kā hai ye tanhā safar
rāste chup raah ke ashjār chup
maiñ ne to insāf māñgā thā magar
aaj hai 'ausāf' har darbār chup
khiDkiyan suni dar-o-diwar chup
sari galiyan aur bhare bazar chup
kis qayamat ki KHabar aane ko hai
ganw ke chaupal chup aKHbar chup
darmiyan hai KHauf ka dariya rawan
main yahan KHamosh wo us par chup
ek sada us ko bulane ke liye
ek sada aae mujhe har bar chup
kaisa qaht-e-admiyyat hai yahan
zindagani ke sabhi aasar chup
kis qayamat ka hai ye tanha safar
raste chup rah ke ashjar chup
main ne to insaf manga tha magar
aaj hai 'ausaf' har darbar chup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.