KHirman-e-dil ki jaan se uThta hai
ḳhirman-e-dil ki jaañ se uThtā hai
ye dhuāñ sā kahāñ se uThtā hai
aap sho.ala haiñ aap kyā jāneñ
kab dhuāñ qalb-o-jāñ se uThtā hai
ham vahīñ būd-o-bāsh rakhte haiñ
fitna-o-shar jahāñ se uThtā hai
ḳhair-o-ḳhūbī se aap kā banda
lījiye ab jahāñ se uThtā hai
parcham-e-fikr-o-fan 'ziyā' sāhib
nukta-chīñ nukta-dāñ se uThtā hai
KHirman-e-dil ki jaan se uThta hai
ye dhuan sa kahan se uThta hai
aap shoala hain aap kya jaanen
kab dhuan qalb-o-jaan se uThta hai
hum wahin bud-o-bash rakhte hain
fitna-o-shar jahan se uThta hai
KHair-o-KHubi se aap ka banda
lijiye ab jahan se uThta hai
parcham-e-fikr-o-fan 'ziya' sahib
nukta-chin nukta-dan se uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.