KHizan jab aae to aankhon mein KHak Dalta hun
ḳhizāñ jab aa.e to āñkhoñ meñ ḳhaak Dāltā huuñ
hare daraḳhtoñ ko be-barg kis tarah dekhūñ
chaman kī aañkh se mausam ke husn ko dekhūñ
bahār aa.e to pattoñ ke pairahan pahnūñ
dil o nigāh kā ye fāsla bhī kyuuñ rah jaa.e
agar tū aa.e to maiñ dil ko aañkh meñ rakh luuñ
na pūchh haal mirā huuñ vo ātish-e-ḳhāmosh
zarā havā to chale aur maiñ bhaḌak uTThūñ
inhī ke zahr se hai raushnī bhī āñkhoñ meñ
ye phuul saañp haiñ chūmūñ ki ehtiyāt karūñ
kabhī samajh meñ na aayā vo kaun hai kyā hai
yahī bahut hai ki maiñ apne dil ko samjhā luuñ
utaar pheñk kabhī to ġhubār sā malbūs
ye terā jism hai pyāre ki raushnī kā sutūñ
KHizan jab aae to aankhon mein KHak Dalta hun
hare daraKHton ko be-barg kis tarah dekhun
chaman ki aankh se mausam ke husn ko dekhun
bahaar aae to patton ke pairahan pahnun
dil o nigah ka ye fasla bhi kyun rah jae
agar tu aae to main dil ko aankh mein rakh lun
na puchh haal mera hun wo aatish-e-KHamosh
zara hawa to chale aur main bhaDak uTThun
inhi ke zahr se hai raushni bhi aankhon mein
ye phul sanp hain chumun ki ehtiyat karun
kabhi samajh mein na aaya wo kaun hai kya hai
yahi bahut hai ki main apne dil ko samjha lun
utar phenk kabhi to ghubar sa malbus
ye tera jism hai pyare ki raushni ka sutun
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 17)
- Author : Shahzad Ahmad
- Publication : Sange meel publications, Lahor (1991)
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.