KHizan ka dukh bhi nahin jashn-e-rang-o-bu bhi nahin
KHizan ka dukh bhi nahin jashn-e-rang-o-bu bhi nahin
Aftab Ahmad Shah
MORE BYAftab Ahmad Shah
ḳhizāñ kā dukh bhī nahīñ jashn-e-rang-o-bū bhī nahīñ
maiñ tīra-baḳht nahīñ huuñ to surḳh-rū bhī nahīñ
vo paas thā to kisī mā-sivā kā zikr na thā
vo jā chukā hai to ab us kī guftugū bhī nahīñ
ye kis maqām pe pahuñchā diyā zamāne ne
ġham-e-zamāñ bhī nahīñ azm-e-justujū bhī nahīñ
mire nasīb meñ kitne ajiib rahbar the
imāmateñ bhī karā.īñ kiyā vuzū bhī nahīñ
ham 'āftāb' kabhī sāhab-e-nisāb na the
kisī kī apne muqaddar meñ aarzū bhī nahīñ
KHizan ka dukh bhi nahin jashn-e-rang-o-bu bhi nahin
main tira-baKHt nahin hun to surKH-ru bhi nahin
wo pas tha to kisi ma-siwa ka zikr na tha
wo ja chuka hai to ab us ki guftugu bhi nahin
ye kis maqam pe pahuncha diya zamane ne
gham-e-zaman bhi nahin azm-e-justuju bhi nahin
mere nasib mein kitne ajib rahbar the
imamaten bhi karain kiya wuzu bhi nahin
hum 'aftab' kabhi sahab-e-nisab na the
kisi ki apne muqaddar mein aarzu bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.