KHizan ki zad pe tha dushman ki bhi nigah mein tha
KHizan ki zad pe tha dushman ki bhi nigah mein tha
Noorul Ain Qaisar Qasmi
MORE BYNoorul Ain Qaisar Qasmi
ḳhizāñ kī zad pe thā dushman kī bhī nigāh meñ thā
vo sāya-dār shajar jo hamārī raah meñ thā
zamāna yaad bhī kartā to kis tarah ham ko
hamārā naam faqīroñ meñ thā na shaah meñ thā
bulandiyoñ se girā to zamīn bhī na milī
vajūd apnā sambhāle hue vo chaah meñ thā
jinheñ ġhurūr havāoñ pe thā vo ḳhaar hue
vo sar-buland rahā jo tirī panāh meñ thā
mire ḳhilāf huā hai jo faisla 'qaisar'
mirā harīf bhī shāmil mire gavāh meñ thā
KHizan ki zad pe tha dushman ki bhi nigah mein tha
wo saya-dar shajar jo hamari rah mein tha
zamana yaad bhi karta to kis tarah hum ko
hamara nam faqiron mein tha na shah mein tha
bulandiyon se gira to zamin bhi na mili
wajud apna sambhaale hue wo chah mein tha
jinhen ghurur hawaon pe tha wo KHar hue
wo sar-buland raha jo teri panah mein tha
mere KHilaf hua hai jo faisla 'qaisar'
mera harif bhi shamil mere gawah mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.