KHizan mein oDh ke qaul-o-qarar ka mausam
ḳhizāñ meñ oḌh ke qaul-o-qarār kā mausam
bahār DhūñD rahī hai bahār kā mausam
vo mere saath nahīñ haiñ to dil ke sahrā par
samay bikher rahā hai bahār kā mausam
fareb ḳhud ko nā degā to aur kyā degā
nā raas aa.e jise e'tibār kā mausam
tumhāre qurb kī maddham sī ik harārat se
hai Dher raakh tale intizār kā mausam
KHizan mein oDh ke qaul-o-qarar ka mausam
bahaar DhunD rahi hai bahaar ka mausam
wo mere sath nahin hain to dil ke sahra par
samay bikher raha hai bahaar ka mausam
fareb KHud ko na dega to aur kya dega
na ras aae jise e'tibar ka mausam
tumhaare qurb ki maddham si ek hararat se
hai Dher rakh tale intizar ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.